11.6K
Downloads
59
Episodes
”Safar” serves as an enduring compilation of literary podcasts with the noble purpose of preserving and spreading the abundant legacy of classical literature in Urdu, Hindi, Persian, and Arabic for the generations to come. This initiative strives to acquaint a broader audience with renowned authors like Manto, Tagore, Khalil Jibran, Ashfaq Ahmed, Krishan Chandar, Ismat Chughtai, and many more, ensuring their timeless work resonates with a wider circle of enthusiasts.
Episodes
Sunday Aug 04, 2019
Version: 20240731
Comments (1)
To leave or reply to comments, please download free Podbean or
Sadaf, baray hi gour say awaz, andaz, our pasay pardah bujti hoi Sitar (if I am not wrong)ki madhur dhun ka lams tarreekh kay khudo khaal main jakay khain mujhay gum kar gaya! Maira maanna hay kay naam badal do to kirdar aik hi rah jata hay jo kisi bhi wujood main bas sakta hay, to baray gour say harf b harf suna jaisay khud ko hi kaheen bhol gay thi! Haqeeqatan bhi zindagi ko agar jeena hay to wo pasgardahai kay un munfi kirdaron main basi hoi hoti hay jaisay kay yahan aap nay bayan kia! Aik aisi haqeeqat/ aik aisa afsana jis kay gird tahltay kirdar, kahin dard, kahin aas, judaee, mujbori, nafrat to kahin bagawat ko janam daitay nazar aayay....laiken aik baat to taay hay kay agar haqtalfi nafrat main badal jay to wo ziyada seerihan nahin taay karti bagawat ko apni muthi main lainay kay liyay our bagawat unginat qurbanian laykar jaan chhorti hay! Labaik ka naara laga kar jub hum us manzil ki taraf gaamzan hotay hain jo kay apnon kay peechhay hoti hay laiken wo apnay kab apnay hotay hain wo to fitratan buraee ka khilwaar khailtay khailtay wapsi kay daro deewar bhi Zameen main dhansa daitaty hain kay dum nikal kay thahray. Mulk, mazahab, samaj, Zameen sab badal jata hay nahin badlti to wo hay "mairi khudi". Tawaif aik aisa munfi kirdar jo zilat our mout kay farq main rati brabar farq rakhata per , taqseenay rooh ko to yahi lazat bakhashta hay. I wish I can write more! Buhat khoub Sadaf, aap buhat bara asasa humarai nain nasal our humaray liyay zakheera kar rahin hain.👏👏👏👏
Tuesday Aug 06, 2019
To leave or reply to comments,
please download free Podbean App.